(pindi news)rawandpindi mai karfiuo..tasadam say 10 ifrat jahbahaq or 35 ifrat zakhmi 10:pm past >/(karachi news)orangi matro sanima kay pass fairing say ek ifrat jahbahaq(5:00 pm)

Tuesday, 5 November 2013





                                                   Kashmir Jannat Nazeer
          
Dunya me agar jannat sekhni he to Kashmir dekhain. Kashmir Jannat Nazeer he. Kashmir Jannat ki madham tasweer pesh kerta he.Jis ksi ne bhi Kashmire ki sair ki ho wo in jumlon ki sadaqat per zaroor  imaan lay ga.Kashmir ser sabz Paharon ,gungunati nadion ,behtay chashmon aur girtay absharon se muzayyan dunia ki khoobsurat wadion me se ek he.Mera zaati tor per Kashmir me kai arsa rehnay ka itafaaq rha he.aam tor per Kashmir ka her shehr aur Qudrati husun me apni misaal aap he ,aisay hi ek sayyahti muqam ki sair aur is ka manzar pesh kerti hn.                                                                        

                                                                       
                 Toli Peer  Azad Kashmir                                                                                                     

                             Toli Peer Kashmir ke khbsurat shehr Rawlakot se ek ghantay ke faslay per waqe he.Is muqam tak puhanchnay k lye Janglaat me ghiray paharon per se guzarna perta heaur ye raasta bht pur khatar honay ke sath sath khubsurat b he.Sath me qudrat ki haseen karigari bhi dekhnay ko milty he.
Toli Peer ek pahar per waqay he . Jahan ek muqaam ke baad gari ya jeep ka koi rasta nahi,udher tak janay ke lye khud pahar per charhna perta he,lekin ye koi khaternak pahar nahi he blkay thori si cherhai k sath rasta he.Choti boht kushada aur wasi o areez he.Pahari janwar ghass chertay hwy qdrat ki khobsurti me izafa ker rahy hoty hn..ye muqaam satha e samander se 10,000 foot ki bulandi per waqy he aur boht door tak pheli hwi wasi o areez chragah he.ToliPeer ka name wahan ek buzurg ke mazar ki mojudgi ki bina per rakha gya he.
 Tolipeer me shaam ka ek manzar
 
                              

Satha e samander se 10,000 foot bulandi per waqay ye muqaam serdion me to berf se dhaka rehta he,is lye yahan ghomnay ka asal maza germion me he. Jab germian urooj per hon to is muqamm per thand hoty he aur shaam dheltay hi swetar ki zaroorat perty he. germion me b yahan 24 ghantay me ek baar barish hoty he aur ye waqt amooman din ka hota he ,jab aap is muqaam se bhi uper Mazar ki tarf jyn to wo ilaaqa dhundh se atta rehta he,,thori door ke faslay se kuch dikhai nahi deta .June july me ye mosam he to serdion me baraf se dhaka rehna lazmi amr he.
                                                                                                      Toli peer,,, serdion ka ek manzar                                                                                                  Toli peer ab tak saaf suthra he kiun ke yahan siway ek dhabay ke aur koi hotel nahi ,nahi koi rehais ki sahoolat he.Jinhain Tolipeer ghoomna he wo Rawlakot ya Phir Banjosa jesay doosray saiyahti muqaam per qayaam karain aur ek poora din Tolipeer me guzarain ,jahan ek hi din me halki dhoop, barish,aur phir dhundh ka maza lain. wahan  per khany ka bandobast khud kerna perta he qn ke koi hotal nhi,,lkn qudrati khubsoorti apne joban per he, aur Kashmir ke Jannat Nazeer honay ka khubsurat tareen suboot he.

No comments:

Post a Comment