(pindi news)rawandpindi mai karfiuo..tasadam say 10 ifrat jahbahaq or 35 ifrat zakhmi 10:pm past >/(karachi news)orangi matro sanima kay pass fairing say ek ifrat jahbahaq(5:00 pm)

Sunday, 27 October 2013

                        Drone hamlay aur us k ntaije


Dron hamlon ki ibtida 2004 me hwi , is ka nishana Pakistan k shumali ilaqay thy jo k Pak _Afghan border se miltay hn. Wahan per mojood dehshat gardon ka khatma kerna tha jo k mulk me badamni ka bais thy. Ye  hamay pakistan k shumali ilaqoon me ab tak jari hn jo  kay din badin insani haqooq  ki khilaf warzi ker rahy hn. Pakistan se dehshat gerdi ka khatma to na ho saka magr is ki maeeshat roz ba roz girty ja rahi he. 

                                            


 Aqwam e Mutahida kay mutabiq ab tak jan bahaq afraad ki tadaad 2200 he jin me se 600 afraad masoom aur beqasoor hn. kia baqi 1800 k bary me yaqeen se kaha ja sakta he k wo tmaam k tmaam dehshat grd thy. ye wo addad o shumaar hn jin ka andaaza  lagaya gya he,asal addad CIA ne khfya rhy hwe hn.  

Ay roz drone hamlon ka nishana be gunah aur masoom shehry bantay hn.In hamlon ki waja se mkaanat me log soty me maar dye jatay hn .

 
Add caption
                    Drone hamlay me tabah hony wala makaan

                      

                            Drone se mutasir masoom bachay

 Drones k khilaf Pakistan me kai arsay se ehtjaaj jari he.Kabina me is k khliaf kai bill manzoor ho chukay hn.lkn Jab ye hamlay Pakistani hakoomat ki rzamandgi se ho rhy hn to phr in ehtjaji railion ka koi faida nhi ho ga.

  Drones k khilaf ehtjaji raili   

                

Emnesty international ne drones mkammal tor per insani haqooq ki khilafwerzi qraar dia he,jabkay Amrika intehai dhitai se aqwam e mutahida k samnay dron hamlon ka dfa ker rha he. 

Drone hamlon k pakistan me asraat

   
Dron ki ibtida pakistan me dehshatgrdy k khatmay k naam per hwi thi lkn ek jaizay k mtabiq drones ki wja se mlk me badamni me pehlay ki nisbat kafi izaafa ho gya he.Khud kush dhmakay usi taslasul se jari hn balkay in me pehlay ki shrah se kai feesad izafa hwa he,.sirf yahi nahi ay roz bigarti hwi soorat e haal ki wja se mulki maieeshat jo k abhi sahi se sambhal bhi na pai thi, dobara tanzilli ka shkaar ho gai he,mashi bohraan apny urooj ko phnch gya he, sermayakaar aur tajjar ne yahan sermayakari krna bnd ker di he qn kay na yhan un ka sermaya mehfooz he na wo khud mehfooz hn. Jsy jsy Amrica mulk me dkhlandaazi krna shru ki wsy wsy hamon ki tadaad me na sirf izafa hwa blky in hamlon ka nishana madaris aur Masjid b banny lagy aur ab to mulk me mazhabi taffurqa dalnay k lye girja ghr b mehfooz nahi hn.2004 se b pelay se pkistan ki aur drone ki soorat e haal ka jayzaa lia jy to in hamlon ki wja se Pakistan kay hissay me sirf nuqsaan hi nuqsaan aya he.


No comments:

Post a Comment